اردو हिंदी
Ek sham | Shaahi Shayari
ek sham

Nazm

Ek sham

Sahir Ludhianvi

;

qumqumon ki zahr ugalti raushni
sang-dil pur-haul diwaron ke sae

aahani but dew-paikar ajnabi
chiKHti chinghaDti KHunin sarae

ruh uljhi ja rahi hai kya karun
chaar jaanib irtiash-e-rang-o-nur

chaar jaanib ajnabi banhon ke jal
chaar jaanib KHun-fishan parcham buland

main meri ghairat mera dast-e-sawal
zindagi sharma rahi hai kya karun

kar-gah-e-zist ke har moD par
ruh-e-changezi bar-afganda-naqab

tham ai subh jahan-e-nau ki zau
jag ai mustaqbil-e-insan ke KHwab

aas Dubi ja rahi hai kya karun