jab janaza ja raha tha 
raat ki KHamosh bahon ki taraf 
aur zamin ka ek hissa 
apna munh khole hue tha muntazir 
main bhi tha pichhe tumhaare 
sath sab ke 
aur juda sab se 
main akela lauT kar aaya tha ghar 
ab bhi aksar 
lauTta hun main akela 
sath sab ke 
aur juda sab se
 
        Nazm
Ek palaTta hua manzar
Ali Zaheer Lakhnavi

