mera ji chahta hai
nazm likhun
us ke liye
us ki zulfon ke liye
us ki aankhon ke liye
us ke andaz-e-takallum ke liye
jo meri ruh ki taskin ka saman bana
us ke har zawiya-e-jism ki KHatir
jo mere jism ki tazin ki pahchan bana
main magar sochta hun
jo sarapa hai ghazal
us ke liye kya likkhun
jo samundar hai use kis tarah dariya likkhun
aur dariya ko jo likkhun bhi to qatra likhun
aur qatre ko sameTun bhi to nuqta likhun
main ajab soch mein hun us ke liye kya likhun
Nazm
Ek nuqta
Mohsin Ehsan