wo ek aawara o majnun 
wo ek shaer 
jise apni sharafat ke tahaffuz mein 
kiya tha qatl ek muddat hui main ne 
wahi aawara o majnun 
wahi shaer 
adam ke gosha-e-tarik se bahar nikal kar 
qahqahe mujh par lagata hai 
wo kahta hai 
kabhi aisa bhi hota hai 
ki sai-e-KHud-kushi nakaam rahti hai
        Nazm
Ek nazm
Gopal Mittal

