اردو हिंदी
Ek nazm | Shaahi Shayari
ek nazm

Nazm

Ek nazm

Ahmad Nadeem Qasmi

;

chhuTpuTe ke ghurfe mein
lamhe ab bhi milte hain

subh ke dhundalke mein
phul ab bhi khilte hain

ab bhi kohsaron par
sar-kashida hariyali

pattharon ki diwaren
toD kar nikalti hai

ab bhi aab-zaron par
kashtiyon ki surat mein

zist ki tawanai
zawiye badalti hai

ab bhi ghas ke maidan
shabnami sitaron se

mere KHak-dan par bhi
aasman sajate hain

ab bhi khet gandum ke
tez dhup mein tap kar

is gharib dharti ko
zar-fishan banate hain

saye ab bhi chalte hain
suraj ab bhi Dhalta hai

subhen ab bhi raushan hain
raaten ab bhi kali hain

zehn ab bhi chaTyal hain
ruhen ab bhi banjar hain

jism ab bhi nange hain
hath ab bhi KHali hain

ab bhi sabz faslon mein
zindagi ke rakhwale

zard zard chehron par
KHak oDhe rahte hain

ab bhi un ki taqdiren
munqalib nahin hotin

munqalib nahin hongi
kahne wale kahte hain

gardishon ki ranai
aam hi nahin hoti

apne roz-e-awwal ki
sham hi nahin hoti