udasi ke pile daraKHton ki shaKHon se chipke hue
sabz patton mein tera tajassus
mere jism ki TuTti sarhadon par
KHayalon ke sayon ko ruswa karega
kuen ke andhere ki bhigi hui
jamuni aankh ki gol chiknai ke
surKH KHwabon ke andar
jawan lams ke ek jangali kabutar ke
phaile hue par ufuq ko chhuwenge
mujhe band kamre mein baiTha hua dekh kar
gol khiDki ke shishon pe
barish ke qatron ki aankhen khulengi
koi marmarin hath ThanDi hawa mein
mujhe apni jaanib bulaega lekin
mujhe KHauf hai tera pila tajassus
samundar pe phaili hui suraji sham ki siDhiyon se
tujhe KHud-kushi ki taraf le na jae
Nazm
Ek nazm
Adil Mansuri