اردو हिंदी
Ek mulaqat | Shaahi Shayari
ek mulaqat

Nazm

Ek mulaqat

Sahir Ludhianvi

;

teri taDap se na taDpa tha mera dil lekin
tere sukun se bechain ho gaya hun main

ye jaan kar tujhe kya jaane kitna gham pahunche
ki aaj tere KHayalon mein kho gaya hun main

kisi ki ho ke tu is tarah mere ghar aai
ki jaise phir kabhi aae to ghar mile na mile

nazar uThai magar aisi be-yaqini se
ki jis tarah koi pesh-e-nazar mile na mile

tu muskurai magar muskura ke ruk si gai
ki muskurane se gham ki KHabar mile na mile

ruki to aaise ki jaise teri riyazat ko
ab is samar se ziyaada samar mile na mile

gai to sog mein Dube qadam ye kah ke gae
safar hai shart sharik-e-safar mile na mile

teri taDap se na taDpa tha mera dil lekin
tere sukun se bechain ho gaya hun main

ye jaan kar tujhe kiya jaane kitna gham pahunche
ki aaj tere KHayalon mein kho gaya hun main