KHwab-parast! ujala na kar
mera KHun safed aur rang faq hai
mujhe naKHun se kured, aa chal ke kahin baiThen
baadshah ke huzur khaDe khaDe main shal ho gai
mom-batti ki tarah
mujhe algani par Tang de ki meri dohragi ka bojh
ban baTne wale pe ho tujh par na ho
KHwab-parast! mujhe jaga to le phir so jaana
kyunki nahin jaana jis ne jo jaana
bhiD bahut hai aur beganagi us se bhi bahut
lekin mein tujhe bahuton mein se bhi DhunD lungi
ba-mohabbat ba-iman KHushbu daricha daricha phiri
aur kahti thi sadiyon ka kaha
bund bund miTTi kashid karne ka fan
kaho kah chuko
KHun-baha anaron ke khet
poshida KHazanon ke KHwab
anguThi pe mohr teri aankhen
aur tu hakim-e-shahr
mehrban! mehrban! mehrban
azab-e-zist se hukm, rihai ka de
ek mauqa mujhe jag-hansai ka de!
Nazm
Ek mauqa
Nasreen Anjum Bhatti