اردو हिंदी
Ek manzar, ek aalam | Shaahi Shayari
ek manzar, ek aalam

Nazm

Ek manzar, ek aalam

Aziz Qaisi

;

din Dhale
mandiron ke kalas masjidon ke manare gharon ki chhaten

sone chandi ke pani se Dhulne lage
qulla-e-koh se chashm-e-nazzara lekin baDi dur tak

pighle sone ki chadar ke niche taDapta hua
gahri zulmat ka ek bahr-e-zaKHKHar bhi

dekhti rah gai
kaisa manzar hai ye

main abhi umr ke Dhalte suraj ki duniya nahin
phir bhi mere sunahre dopahre tabassum ke niche kahin

aansuon ka samundar na bechain ho
niche aao zara rafat-e-baam se

aur dekho kabhi
kaisa aalam hai ye