pul ke us sire se aati hui
angusht chehre wali bad-surat aurat ke
laTke hue pistanon par
bhinbhinati makkhiyon ki mari hui aankhon mein
sukhi nadi ke adh-mue meinDakon ki sarsarahaT
langDe bhikari ki pasliyon ke darmiyan
hanpti ikaniyon ki
kashkoli khansi ki maili shiknon mein
rengte bichchhuon ke sae
bason Taxiyon aur rickshawaon ke phisalte pahiyon tale
dauDti saDkon ki riDh ki haDDiyon mein
bikharti hui tirgi ka khurdura lams
meri khiDki ki
chaukor udasi ke pile danton par
jami hui piDhiyon ko khurachne ki
ek aur nakaam koshish ki
siyahiyon mein gum ho jate hain
Nazm
Ek manzar
Adil Mansuri