darwaza piTa ja raha hai
mere jism par zaKHm aur nil, hare hote ja rahe hain
mujhe yaad aaya
gandi galiyan aur maile buTon ki bhaari eDiyan
mere aasab aur jism ko shal kar rahi thin
kandhon kulhon aur ranon par
bad-bu-dar danton ke nishan
dahakti salaKHon se miTane ki koshish bhi ki gai
main unchi khiDki se chhalang laga sakta tha!
magar sada kaghaz par dastaKHat ke baghair
mujhe is suhulat ki ijazat bhi nahin di gai
wo sab mere zinda hathon se ziyaada
meri murda aankhon se KHauf-zada the shayad
main ne unhen bata diya tha
ki main sirf be-maqsad zindagi
aur be waqat maut se Darta hun
main ne kaha
zaKHmi danton ke sath mujh se hansa nahin jata
lao kaghaz idhar lao
main us par ek zor-dar qahqaha likh kar dastaKHat kar dun
mujhe yaad hai
wo thak haar ke behosh hone chale gae the
gandi galiyon aur buTon ki
bhaari eDiyon ke sath
darwaza phir piTa ja raha hai!
Nazm
Ek mahbus nazm
Anjum Saleemi