tera chehra sada kaghaz
hai tassur kora kora
dagh hai koi na koi naqsh hai!
kyun ye khiDki band hai?
aa tujhe apne labon se chum kar
tere chehre ko bana dun ek achchhi si bayaz
taki is par hari ghaDi bante rahen miTte rahen
tere andar ghumte phirte hue
na-shunida aur na-gufta huruf
aa ye khiDki khol dun
taki tera andarun
(teri palkon ki chiqon tak hi sahi) bahar to aae
sada kaghaz par koi tahrir ho
chaukhaTe mein koi to taswir ho
warna ye ban jaega aKHbar
karobar-e-in-o-an ka ishtihaar
waqt ke talwon se qatra qatra KHun
tere chehre par Tapakta jaega jam jaega
na-shunida aur na-gufta huruf
gaDmaDa jaenge ho jaenge 'jumble-up' baham
band khiDki ke paTon par shoKH laDke
kuchh ka kuchh likhte rahenge
Nazm
Ek KHwahish
Ameeq Hanafi