KHwab ab husn-e-tasawwur ke ufuq se hain pare
dil ke ek jazba-e-masum ne dekhe the jo KHwab
aur tabiron ke tapte hue sahraon mein
tishnagi aabla-pa shola-ba-kaf mauj-e-sarab
ye to mumkin nahin bachpan ka koi din mil jae
ya palaT aae koi saat-e-nayab-e-shabab
phuT nikle kisi afsurda tabassum se kiran
ya damak uTThe kisi dast-e-burida mein gulab
aah patthar ki lakiren hain ki yaadon ke nuqush
kaun likh sakta hai phir umr-e-guzishta ki kitab
bite lamhat ke soe hue tufanon mein
tairte phirte hain phuTi hui aankhon ke hubab
tabish-e-rang-e-shafaq aatish-e-ru-e-KHurshid
mil ke chehre pe sahar aai hai KHun-e-ahbab
jaane kis moD pe kis rah mein kya biti hai
kis se mumkin hai tamannaon ke zaKHmon ka hisab
aastinon ko pukarenge kahan tak aansu
ab to daman ko pakaDte hain lahu ke girdab
dekhti phirti hai ek ek munh KHamoshi
jaane kya baat hai sharminda hai andaz-e-KHitab
dar-ba-dar Thokaren khate hue phirte hain sawal
aur mujrim ki tarah un se gurezan hai jawab
sarkashi phir main tujhe aaj sada deta hun
main tera shair-e-awara o be-bak-o-KHarab
phenk phir jazba-e-be-tab ki aalam pe kamand
ek KHwab aur bhi ai himmat-e-dushwar-pasand
Nazm
Ek KHwab aur
Ali Sardar Jafri