ek chobin ghoDa
ek ghaeb sawar
aur ek simTa hua maidan
ye hain markazi kirdar
ek be-musannif tamsil ke
jo bahar-surat KHatm hoti hai
ek muhmal na-aghazi par
kisi pechida dhabbe ki tarah
jo sabt hai ek na-amada na-gustarda
chadar par
chobin ghoDa apna kirdar umdagi se ada karta hai
agar ghaeb sawar apne hisse ka kaam nahin bhulta
simTa hua maidan nahin faraham kar sakta wo fasla
jo mashshaqi se tai kiya jae
jab tak ki nazirin andhe na ho jaen
ye koi munasib baat na hogi ki pesh kiya jae
aisa aasmani khel
us sayyare par jahan
waqt hanuz naqis hai
aur harkat ta-haal na-KHalis
ab hamein chalna chahiye!
Nazm
Ek khel
Ahmad Javed