tariKH ke bune hue thailon mein hamesha
koi be-had aham chiz rah jati hai
be-shak hawaen azim-tarin sanna hain
un KHarabon ki jo naqsh hain be-rangi ke sath
ek pur-asrar ghair-maruf andhere ki dabiz diwaron par
lekin aankhen
aise pechida manzar ko
sehhat aur saqahat ke sath
naql nahin kar saktin
KHwah binai ki kisi bhi qabil se
ilaqa rakhti hon
ab bilkul naya tanazur zaruri hai
is na-didani se ohda-bara hone ke liye
warna dekhna ek ahmaqana tasawwur hai jise
bas aankhen hi manti hain
Nazm
Ek KHayal
Ahmad Javed