be-nigah aankhon se dekhte hain parche ko
be-KHayal hathon se
an-bane se lafzon par ungliyan ghumate hain
ya sawalname ko dekhte hi jate hain
sochte nahin itna jitna sar khujate hain
har taraf kanakhiyon se bach bacha ke takte hain
dusron ke parchon ko rahnuma samajhte hain
shayad is tarah koi rasta hi mil jae
be-nishan jawabon ka kuchh pata hi mil jae
mujh ko dekhte hain to
yun jawab copy par hashiye lagate hain
daere banate hain
jaise un ko parche ke sab jawab aate hain
is tarah ke manzar main
imtihan-gahon mein dekhta hi rahta tha
naql karne walon ke
nit-nae tariqon se
aap lutf leta tha doston se kahta tha
kis taraf se jaane ye
aaj dil ke aangan mein ek KHayal aaya hai
saikDon sawalon sa ek sawal laya hai
waqt ki adalat mein
zindagi ki surat mein
ye jo tere hathon mein ek sawal-nama hai
kis ne ye banaya hai
kis liye banaya hai
kuchh samajh mein aaya hai
zindagi ke parche ke
sab sawal lazim hain sab sawal mushkil hain
be-nigah aankhon se dekhta hun parche ko
be-KHayal hathon se
an-bane se lafzon par ungliyan ghumata hun
koi dekhta hai to
daere banata hun
hashiye lagata hun
ya sawal-name ko dekhta hi jata hun
Nazm
Ek kamra-e-imtihan mein
Amjad Islam Amjad