main us ki sansen sunghta hua
dariyaon aur maidanon mein daKHil hua tha
aur wo mujhe zarKHez zamin ki tarah mili thi
main tarik raat mein janma hua mahtab tha
aur wo shiryanon se KHun uchhaal dene wali tamazat thi
main ret ki kushada-damani tha
aur us ki pusht sarma ke suraj ki tarah thi
main eD lagae hue ghoDe ki nangi piTh par kudne wale ka beTa tha
aur us ki aankhon mein
jaTon ki KHun-rez sadiyan chunauti deti thin
wo gunah ki tarah namkin thi
aur wo zaiqa thi jo chakkhe baghair zaban par phir jata tha
aur main us ki guddii mein dant gaD dene ki hasrat mein tha
wo dharti par phaila hua sarson ka khet thi
aur us ke hath gandum kaTne wali man ne banae the
aur us ki naf ke gird bhara-pura shikam tha
aur us ki ghunDi mein aisi jaan thi
ki us ka bap maurya ahd mein patthar chamkane ka kari-gar malum hota tha
aur us ke jism mein tawe par surKH ki hui roTi ki KHushbu thi
aur main aanton se ugi hui aarzu tha
aur main talwaron ki mausiqi par paDha hua rajaz tha
aur main tir khae hue ghoDe se giri haar tha
aur wo tane se dahki hui wangar thi
aur wo aisi jit thi
jis ki yaad mein
zamin par koi laTh gaDi ja sakti thi

Nazm
Ek ishq ki nasli tariKH
Syed Kashif Raza