mujh se bhi wo milti thi
us ke honT gulabi the
us ki aankh mein masti thi
main bhi bhula-bhaTka sa
wo bhi bhuli-bhaTki thi
shahr ki har aabaad saDak!
us ke ghar ko jati thi!
lekin wo kya karti thi!
laDki thi ki paheli thi!
ulTe-sidhe raston par
aankhen Dhanp ke chalti thi
bhigi bhigi raaton mein
tanha tanha roti thi
maile maile kapDon mein
ujli ujli lagti thi
us ke sare KHwab nae
aur tabir purani thi
Nazm
Ek flirt laDki
Ata ul Haq Qasmi