mujhe har ek baat ki KHabar hai
jo ho chuki hai
jo ho rahi hai
jo hone wali hai aaj lekin
main sirf us baat ke bhanwar mein utar raha hun
jo hone wali hai
jis ko sargoshiyon ka ek be-karan samundar
ugalne wala hai
karwan jis ka ab hikayat ki sar-zaminon pe chalne wala hai
jis ko har dastan gale se lagane wali hai
jis ki han mein har ek han han milane wali hai
aao logo
talab ke sahil pe KHamushi ki dabiz chadar lapeT kar sone wale logo
shayad andoh ke andhere mein KHauf ki KHar-dar chadar lapeT kar rone wale logo
suno ki jo baat hone wali hai us ka aaghaz ho raha hai
suno ki ye baat aap ki hai
suno ki ye baat rus aur chin ki nahin hai
wahan to us ko hue zamana guzar chuka hai
ye baat wietnam aur cambodia ki bhi ab nahin rahi hai
wahan to ab us ki shakl ek dastan ki surat mein Dhal chuki hai
wahan se ye baat chal chuki hai
ye baat ab tum karoge tum
jin ke wahm mein bhi na tha ki ek din
use tumhaare lahu lahu lab ada karenge
yahi to is baat ka karishma hai moajiza hai
ki ibtida us ki jab bhi hogi
wahi karenge
jo intiha ke haqir honge
magar bahut ba-zamir honge
mujhe tumhaare
mujhe tumhaare haqir aur ba-zamir hone mein shak nahin hai
ki main bhi tum mein se ek hun aur jaanta hun
ki tum jo muddat se KHamushi ki dabiz chadar lapeT kar so rahe ho
kya ho
ki tum jo andoh ke andhere mein KHauf ki KHar-dar chadar
lapeT kar ro rahe ho kya hua
suno ki jo baat hone wali thi ho rahi hai
main is ka aaghaz kar chuka hun
uTho apne lahu lahu lab
meri sada ke labon pe rakh do
Nazm
Ek baat
Zuhoor Nazar