wo laDki wo masum alhaD si laDki
kisi aarzu ki tarah dil-nashin thi
shua-e-sahar ki tarah thi achhuti
bahaaron sitaron ka KHwab-e-hasin thi
bahaaron sitaron ka wo KHwab lekin
nirali hi tabir mein Dhal raha hai
wo masum dil jo charagh-e-wafa tha
hawas ki bhari bazm mein jal raha hai
wo jalte hue kuchh pasheman bhi hai
nikhar bhi rahi hai magar is jalan se
jamal-e-haqiqat bhi sharma raha hai
banawaT ke is khokhle bankpan se
nadamat ke TuTe hue aansuon ne
tabassum ko aarasta kar diya hai
bilakte hue walwalon ke lahu ne
nigahon mein bhi rang sa bhar diya hai
wo aazad panchhi jo Duba hua tha
nashile sajile KHayalon ke ras mein
baDe naz se bech kar pankh apne
chahakta hai ab maslahat ke qafas mein
jo doshizgi nikhat-e-raegan thi
baDa kar-amad dhuan ban rahi hai
mohabbat bhare dil ki sada si dhaDkan
baDi KHub-surat fughan ban rahi hai
kunwari umangon ki munh-band kaliyan
zar-o-sim ke Dher mein tul rahi hain
badan ki mahakti hui chandni mein
khanakti hui zulmaten ghul rahi hain
KHizan ke sunahri farebon mein aa kar
haya ka muqaddas chaman luT raha hai
ye aurat nahin ek madfan se jis mein
ek alhaD si laDki ka dam ghuT raha hai
wo alhaD si laDki jo kuchh sal pahle
kisi aarzu ki tarah dil-nashin thi
shua-e-sahar ki tarah thi achhuti
bahaaron sitaron ka KHwab-e-hasin thi
Nazm
Ek actress
Naresh Kumar Shad