اردو हिंदी
Ehsas | Shaahi Shayari
ehsas

Nazm

Ehsas

Amit Brij sha

;

ehsas ki mahngai bahut baDh gai hai
aaj kal koi nazmen KHaridne nahin aata

tumhaare sirhane mere hathon ki lakiren rakkhi hain
yaqin nahin to TaTol kar dekh lena

ye waqt ki hi gustaKHi hai jo guzarne se kabhi baz nahin aata
agar main Thahra hua na hota to na jaane waqt kaise guzarta

is KHali ashtray mein tere nam wale ehsas ko
kash mar kar bujha diya hai hum ne

tumhaare ishq ke mathe par ye kaisi jhurriyan paD gai hain
buDhape ke alawa aur kya hasil hua

ek buDha nadi ke kinare khaDa suryast dekh raha tha
kuchh logon ke na ghar mein aaina hota hai aur na zindagi mein