subh suraj ki kiran
kucha kucha teri ummid mein bhaTkati hai
sham hote hi andheron mein bikhar jati hai
TuTti aas ki manind
tere dard ki lau
raat-bhar aankhon mein rah rah ke ubhar aati hai
subh se pahle dhuli aankhon mein
bujh ke rah jati hai
garm sanson ki tarah
tujh se milne ki KHalish
aaj bhi meri rag-o-pai mein sulagti hai magar
jaane kyun kal se ye rah rah ke KHayal aata hai
zindagi
KHud-farebi ke siwa kuchh bhi nahin
Nazm
KHud-farebi
Yaqoob Rahi