shahr mumbai
mujhe us ne chuna hai ham-safar apna
ye meri sans ke marne talak
sae ki tarah sath mein hoga
shahr aisa
jo ujli raushni mein Duba rahta hai
magar un raushni ke jhurmuT mein tirgi bhi hai
jahan bazar zinda hai
jahan ruhon ka sauda raat-din hota hi rahta hai
jahan apnon se lagte hain na jaane kitne begane
nazar jis samt bhi phenko
yahan unchi imarat ke siwa kuchh bhi nahin hai
yahan arz-e-dua mehr-o-wafa kuchh bhi nahin hai
kai lashen bhaTakti rahti hain be-ruh nukkaD par
jahan rukti hain lambi gaDiyan aa kar
main aksar sochta hun ye
na jaane kaun baiTha rahta hai un band shishon mein
shahr-e-mumbai
mujhe us ne chuna hai ham-safar apna
ye meri sans ke marne talak
sae ki tarah sath mein hoga
shahr aisa
jo gahri nind mein bhi chalta rahta hai
KHushi se khol kar aankhen
jo sare KHwab bunta hai
shahr ye ek jangal hai
jahan aankhen hi aankhen hain
hazaron phul si aankhen hazaron phathri aankhen
hazaron KHushnuma aankhen hazaron matami aankhen
hazaron aashna aankhen hazaron ajnabi aankhen
sabhi aankhon ki palkon par
udasi aise baiThi hai
ki jaise sanp koi kunDali mare hue baiThe
wo palken jaanti hain
kaise apna dukh chhupana hai
magar jab ghaur se dekho to yun mahsus hota hai
wo palken sabr hain aur jabr hain
aur qabr hain aankhen
jahan par dafn hain yaaden kisi marhum bachche ki
shahr-e-mumbai
mujhe us ne chuna hai ham-safar apna
ye meri sans ke marne talak
sae ki tarah sath mein hoga
shahr aisa
jo bahte waqt ko muTThi mein rakhta hai
isi ki kokh mein apne parae waqt ki pahchan hoti hai
shahr ki god mein hai ek samundar bhi
jo ghanTon dhup ki chhatri lagae baiTha rahta hai
hasin sahil ke reton par
wahin par baadalon se ek nannhi sham aati hai
sira us sham ka raaton mein khulta hai
faza ka shor jab din ki bajae narm hota hai
makan ki oT mein jab chand pila chhupne lagta hai
sitare unghne lagte hain jab halkan ho ho kar
to aapas mein gale lag kar
samundar ke kinare rone lagte hain
main us bhige hue lamhe ka ek tanha gawahi hun
main manzar ki siyahi hun
main ek aisa sipahi hun
jise ab zindagi ki aaKHiri ek jang laDni hai
mera ab sath dega ye
shahr-e-mumbai
jise main ne chuna hai ham-safar apna
jo meri sans ke marne talak
sae ki tarah sath mein hoga
Nazm
Mumbai
Tripurari