اردو हिंदी
Dusri nazm | Shaahi Shayari
dusri nazm

Nazm

Dusri nazm

Salahuddin Parvez

;

siyah raaton ke be aman raston pe chhiTke hue ye chehre
ki jaise patjhaD mein bikhar gae hon

bas in ki bechain zaKHm-KHurda si putliyon mein raqam hai baqi
jo ghumti hain jo muntazir hain

mare zamane mein phal nahin hain faqat aKHzan ke zawal hain aur aise tufan ki dekhte dekhte hazaron
daraKHt jaD se ukhaD gae hain ummid na-ashna dilon mein

jo dard hai raaz bin chuka hai, jo lafz hain ujaD rahe hain
mujhe is apni KHizan mein jo chiz yaad hai wo har ek raste

main an-ginat putliyon ki gardish ka karb jaise
hazar-ha mom-battiyan jo mere badan aur meri aankhon

ko chhu kar ke bujhti hun aur andhere ko mere andar utarti hun
ye putliyan jin mein ghumte aur Dubte hain sabhi sitare

ye aasmanon ke takne wale tabah chehre
niDhaal ke tajarbe ko muraqqaon mein saf ba saf muntazir hain meinh ke

jo un ki pamaliyon ko dho kar safed kar de
jale bujhe aur KHam rangon ki chiq-lish se jagah jagah shiq

ye marg amboh jis ki ta mein dabi hui aag ki hararat
hai aaKHiri faislon ka mausam ki aaina war mein yahan pe

KHud apne chehre ko DhunDhta phir raha hun shayad kho chuka hun
shayad aaj bhi

subh hui aur nai nai ummiden jagen
shayad aaj bhi suraj apni puri tabani se chamke

shayad dil moh lene wali koi surat jate jate
muD kar dekhe

rukhi sukhi bhi neamat se baDh kar maza de
shayad aaj bhi koi mujhe phir pas biTha le

an-honi miras yahi hain duniya bhar ki mamuli baaten
har din kitna naya magar utna hi purana

wahi hain sare raste aur gardish mein aankhen
suiyan aur miTTi ke pyale

sada hi mangte hath kabhi na thakte panw
bar jun wale shahr sabhi makDi ke jale

aur miTTi ki nangi bhuki sadiyon ganw
shayad aaj bhi pal do pal ko

duniya ki har baat lage jaise in mil bejoD fasana
aag ki konpal jaisi subh mein

kaun sirhane baiTha mujh se
hans hans kar baaten karta hai

kitna raushan KHwab ye mere sath uTha hai
kahne ko dekha hai kya kya

lekin phir bhi
jaane kya kuchh dar-parda hai

shayad aaj samajh mein aae kya dekha hai kya dhoka hai
kitni ummidon par qaem

hai ye duniya aur yahin par
kisi taraf konon khudron mein

apni hawa mein hum bhi tum bhi
jaise aaj ho sab kuchh daim

ek zara ji bahla to phir kya kya kuchh lagta hai sachcha
sare jal suhane sara yahan ka karna bharna achchha

shayad aaj bhi