pahle din baadal zaKHmi ho gae
dusre din sitare
aur tisre din
bahut si goliyan nile aasman ko ja lagin
aur wo siyah ho gaya
aansuon ki tarah koi chiz
zamin par girne lagi
kabhi KHamoshi ke sath bahut sari bunden
aur kabhi saDak par shor machata hua
mosla-dhaar pani
zaKHmi aasman
buri tarah ro raha tha
us ne apna chehra
bahut sare baadalon se Dhaka hua tha
hum use hansane ki koshish mein bahar nikalte
to barish aur tez ho jati
siyah aur maTyali kichaD apne juton mein lagae
hum phir ghar mein aa jate
aasman ke aansu
qalin mein jazb ho jate
ya hamare kapDon ke sath sare ghar mein phail jate
pakke farsh par hamare kichaD bhare pairon ke nishan
aasman ke zaKHmon ki tarah
kabhi halke aur kabhi gahre ho jate
aasman ki taraf jaane wali duaen
tez barish ke sath wapas aa kar
gili miTTi mein ghaeb ho jatin
chhoTi chhoTi chhatriyan
aasman ki ya hamari qismat ke liye na-kafi thin
aise mausam mein thoDi der ke liye
agar wo firing band kar dete
to shayad hamari tarah
aasman bhi achchha ho jata
pahle se ziyaada nila aur chamakdar
Nazm
Dusra aasman
Zeeshan Sahil