dua dua wo chehra 
haya haya wo aankhen 
saba saba wo zulfen 
chale lahu gardish mein 
rahe aankh mein dil mein 
base mere KHwabon mein 
jale akele-pan mein 
mile har ek mahfil mein 
dua dua wo chehra 
kabhi kisi chilman ke pichhe 
kabhi daraKHt ke niche 
kabhi wo hath pakaDte 
kabhi hawa se Darte 
kabhi wo barish andar 
kabhi wo mauj samundar 
kabhi wo suraj Dhalte 
kabhi wo chand nikalte 
kabhi KHayal ki rau mein 
kabhi charagh ki lau mein 
dua dua wo chehra 
kabhi baal sukhae aangan mein 
kabhi mang nikale darpan mein 
kabhi chale pawan ke panw mein 
kabhi hanse dhup mein chhanw mein 
kabhi pagal pagal nainon mein 
kabhi chhagal chhagal sinon mein 
kabhi phulon phul wo thaali mein 
kabhi diyon bhari diwali mein 
kabhi saja hua aaine mein 
kabhi dua bana wo zine mein 
kabhi apne-ap se jangon mein 
kabhi jiwan mauj-tarangon mein 
kabhi naghma nur-fazaon mein 
kabhi maula huzur duaon mein 
kabhi ruke hue kisi lamhe mein 
kabhi dukhe hue kisi chehre mein 
wahi chehra bolta rahta hun 
wahi aankhen sochta rahta hun 
wahi zulfen dekhta rahta hun 
dua dua wo chehra 
haya haya wo aankhen 
saba saba wo zulfen
        Nazm
Dua dua chehra
Obaidullah Aleem

