rail-gaDi ye ghamsan ilahi tauba
na murawwat na takalluf na tabassum na ada
yunhi ek ghair-shuuri si KHushunat ka KHarosh
be-irada hai to kya ghair-shuuri hai to kya
ye nae daur ke ehsas-e-ghulami ka zuhur
intiqama tahakkum ki numud
is mein ek izhaar-e-baghawat bhi to hai
yunhi yunhi sahi
ek shaiba-e-dad-e-shujaat bhi to hai
chaak to karta hun main apna gareban hi sahi
kulbulati hui maKHluq ki is daldal mein
sina tane hue kuchh log baDhe jate hain
KHub phunkarte phan phailae
log wo log nahin
jin ko Thukraate hue jate hain
ye log baDe sahab log
ye jo hukkaam hamare hain ye hukkaam nahin
jo hamein se hain magar hum mein nahin
ye jo bandon ke hain aaqa magar aaqa ke ghulam
ba-wafa hun to hun be-dam nahin
tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
un pe duniya ki har ek rah kushada hai magar
aaj ek sang-e-garan hail hai
ki uThae na uThe aur hilae na hile
dusre darje ke darwaze mein
un ke aaqaon ka ek fard farangi gora
bahen phailae hue rasta roke hai khaDa
kaun hota hai harif-e-mai-e-mard afgan-e-ishq
siTiyan bajne lagin KHidmat-e-sarkar baja lana hai
aur sarkar hi KHud sang-e-rah-e-manzil hai
zindagi aa gai dorahe par
der kyun karte ho bhago bhago
dauD kar third ke Darbe mein ghuso
apne ham-jins ghulamon mein milo
zindagi aa gai dorahe par
Nazm
Doraha
Mohammad Deen Taseer