tirgi ke siyah-ghaaron se
shahparon ki sadaen aati hain
le ke jhonkon ki tez talwaren
ThanDi ThanDi hawaen aati hain
barf ne jin pe dhaar rakkhi hai
ek maili dukan tera o tar
ek charagh aur ek doshiza
ye bujhi si hai wo udas sa hai
donon jaDon ki lambi raaton mein
tirgi aur hawa se laDte hain
tirgi uTh rahi hai maidan se
fauj-dar-fauj baadalon ki tarah
aur hawaon ke hath hain gustaKH
toDe lete hain nanhe shole ko
noche lete hain maile aanchal ko
laDki rah rah ke jism Dhanpti hai
shola rah rah ke thar tharaata hai
nangi buDhi zamin kanpti hai
tirgi ab siyah-samundar hai
aur hawa ho gai hai diwani
ya to donon charagh gul honge
ya karenge wo shola-afshani
phunk Dalenge tirgi ki mata
par mujhe e'timad hai in par
go gharib aur be-zaban se hain
donon hain aag donon hain shola
donon bijli ke KHandan se hain
Nazm
Do charagh
Ali Sardar Jafri