bansuri ki dhun se chawal ki baali tak
din phaila hai
aur daranti wale hath mein us ka daman
jaise mallahon ke hath mein jal ho
ya phir ghoD-sawar ke hath mein us ki rasen
din phaila hai
dahi bilone ki aawaz se jamun ke peDon tak
chuDiyan pahanne wale hath mein us ka daman
khinchte khinchte oDhni ban jaega
din phaila hai
aasman se bachche ki nannhi muTThi tak
rafta rafta dudh mein Dhal jaega
din phaila hai
rail ki aahani paTri par
aur bhag raha hai chhoTe shahron ki manDi tak
bhagte bhagte surKH anar mein Dhal jaega
din phaila hai
gende ke phulon mein
maile bachchon ki KHali jebon mein
din phaila hai
meri teri aankhon mein
jo rafta rafta mustaqbil ki dhun pe gaya
ujle paniyon jaisa koi
git banega
Nazm
Din phaila hai
Asghar Nadeem Sayed