dilli se wapsi
ruKHsat ai dilli teri mahfil se ab jata hun main
nauhagar jata hun main nala-ba-lab jata hun main
yaad aaenge mujhe tere zamin-o-asman
rah chuke hain meri jaulan-gah tere bostan
tera dil dhaDka chuke hain mere ehsasat bhi
tere aiwanon mein gunje hain mere naghmat bhi
rashk-e-shiraaz-kuhan hindostan ki aabru
sar-zamin-e-husn-o-mausiqi bahisht-e-rang-o-bu
mabad-e-husn-o-mohabbat bargah-e-soz-o-saz
tere but-KHane hasin tere kalisa dil-nawaz
zikr yusuf ka to kya kije teri sarkar mein
KHud zuleKHa aa ke bikti hai tere bazar mein
jannaten aabaad hain tere dar-o-diwar mein
aur tu aabaad KHud shair ke qalb-e-ar mein
mahfil-e-saqi salamat bazm-e-anjum barqarar
nazninan-e-haram par rahmat-e-parwardigar
yaad aaegi mujhe be-tarah yaad aaegi tu
ain waqt-e-mai-kashi aankhon mein phir jaegi tu
kya kahun kis shauq se aaya tha teri bazm mein
chhoD kar KHuld-e-ali-gaDh ki hazaron mahfilen
kitne rangin ahd-o-paiman toD kar aaya tha main
dil nawazan-e-chaman ka chhoD kar aaya tha main
ek nasheman main ne chhoDa ek nasheman chhuT gaya
saz bas chheDa hi tha main ne ki gulshan chhuT gaya
dil mein soz-e-gham ki ek duniya liye jata hun main
aah tere mai-kade se be-piye jata hun main
jate jate lekin ek paiman kiye jata hun main
apne azm-e-sarfaroshi ki qasam khata hun main
phir teri bazm-e-hasin mein lauT kar aaunga main
aaunga main aur ba-andaz-e-digar aaunga main
aah wo chakkar diye hain gardish-e-ayyam ne
khol kar rakh di hain aankhen talKHi-e-alam ne
fitrat-e-dil dushman-e-naghma hui jati hai ab
zindagi ek barq ek shoala hui jati hai ab
sar se pa tak ek KHunin rag ban kar aaunga
lala-zar-e-rang-o-bu mein aag ban kar aaunga
Nazm
Dilli se wapsi
Asrar-ul-Haq Majaz