dil safi ye ho ai 'mehr' KHuda ki rahmat
main ne mahsus kiya hai bahut aaram yahan
gosha-e-afat us ko kahin to zeba hai
kaisi taskin ka hai kaise sukun ka ye makan
is tarah shahar se kuchh dur koi mabad ho
shaara-e-am se haT kar ki na ho bhiD wahan
koi jae bhi jo us ja to irada kar ke
ye na ho har kas-o-na-kas ho wahan gasht-kunan
jae tanha ho makan gosha-e-uzlat sa ho
jis taraf dekho nazar aae KHamoshi ka saman
saya-e-afgan hun kuhan sal daraKHt us ja par
aisi ThanDak ho ki bas aae wahan jaan mein jaan
sahn mein aab-e-musaffa paDa hauz bhi ho
aur wo aisa maskan ki na ho jis ka bayan
girah mein hun raushen besh-baha patthar ki
saf aisi ki na ratanka bhi nazar aae wahan
samne aankh ke mabad ka ho burj-e-sangin
jis ki tamir ko barson hue hon ya sadiyan
gharaz aisa ho makan aur to wan baiTha ho
aur KHamoshi o sukun chaar taraf se ho ayan
tu wahan baiTha ho aaram se aur tere siwa
aadmi-zad ka DhunDhe na nazar aae nishan
dekh kar aankh mein nur tabiat mein surur
to ye samjhe ki zamin par hai yahi bagh-e-jinan
hai yahi haal jo dekho to dil safi ka
wahi taskin-o-sukun aur wahi rahat hai yahan
wahi ThanDak hai wahi nur-o-surur-o-mofuz
hai yahan bhi wahi taskin-o-KHamoshi ka saman
main yahan baiTh ke ai 'mehr' maze leta hun
aur samajhta hun zamin par hai yahi bagh-e-jinan

Nazm
Dil safi
Suraj Narayan Meher