ai dost! kabhi to aa ke mil
ye dil tere liye jari hai
dil jari hai
dil aaTh pahar se jari hai
jaise koi dariya sawan mein
jaise koi barkha jaDe mein
aise mein badri kari hai
dil jari hai
dil aaTh pahar se jari hai
kabhi dil do-guna ho jata hai
jab tera dard samata hai
har sans mein ras mil jata hai
tere hone ka
tere nind-nagar mein aane ka
dil jari hai
dil azlon-azal se jari hai
tujhe nind samajh ke so lun main
aur oDh ke jiwan kar lun main
ye nind adhuri hoti hai
kahin sapne mein khul jati hai
tujhe kaise oDhun kambal mein
tujhe kaise pahnun jaDe mein
tujhe kaise bitun barson mein
jo bit chuka wo baadal tha
ab bitna chahun libason mein
tujhe oDhna chahun kapason mein
kabhi aa ke mil
aise ki achanak dhup khule
aise ki achanak sham Dhale
aise ki achanak dard uThe
meri nas nas mein
aur tu us dard mein shamil ho
Nazm
Dil jari hai
Asghar Nadeem Sayed