pahle to husn-e-amal husn-e-yaqin paida kar
phir isi KHak se firdaus-e-barin paida kar
yahi duniya ki jo but-KHana bani jati hai
isi but-KHane se kabe ki zamin paida kar
ruh-e-adam nigaran kab se hai teri jaanib
uTh aur ek jannat-e-jawed yahin paida kar
KHas-o-KHashak-e-tawahhum ko jala kar rakh de
yani aatish-kada-e-soz-e-yaqin paida kar
gham mayassar hai to is ko gham-e-kaunain bana
dil hasin hai to mohabbat bhi hasin paida kar
aasman markaz-e-taKHil-o-tasawwur kab tak
aasman jis se KHajil ho wo zamin paida kar
dil ke har qatre mein tufan-e-tajalli bhar de
batn-e-har-zarra se ek mahr-e-mubin paida kar
bandagi yun to hai insan ki fitrat lekin
naz jis pe karen sajde wo jabin paida kar
pasti-e-KHak pe kab tak teri be-baal-o-pari
phir maqam apna sar-e-arsh-e-barin paida kar
ishq hi zinda o painda haqiqat hai 'jigar'
ishq ko aam bana zauq-e-yaqin paida kar
Nazm
Dil hasin hai to mohabbat bhi hasin paida kar
Jigar Moradabadi