اردو हिंदी
Diwali | Shaahi Shayari
diwali

Nazm

Diwali

Aaftab Rais Panipati

;

ram ke hijr mein ek rose bharat ne ye kaha
qalb-e-muztar ko shab-o-roz nahin chain zara

dil mein arman hai ki aa jaen watan mein raghubir
yaad mein un ki kaleje mein chubhe hain nashtar

koi bhai se kahe zaKHm-e-jigar bhar den mera
KHana-e-dil ko ziyarat se munawwar kar den

ram aaen to diye ghi ke jalaun ghar ghar
dip-mala ka saman aaj dikhaun ghar ghar

tegh-e-furqat se jigar pash hua jata hai
dil gham-e-ranj se pamal hua jata hai

dagh hain mere jale dil pe hazaron lakhon
gham ke nashtar jo chale dil pe hazaron lakhon

kah rahe the ye bharat jabki siri-ram aae
dhum duniya mein machi nur ke baadal chhae

arsh tak farsh se jai jai ki sada jati thi
KHurrami ashk har ek aankh se barsati thi

jalwa-e-ruKH se hua ram ke aalam raushan
pur umidon ke gulon se hua sab ka daman

mohni shakl jo raghubir ki nazar aati thi
aankh tazim se KHilqat ki jhuki jati thi

muddaton baad bharat ne ye nazara dekha
kaamyabi ke falak par tha sitara chamka

dil KHushi se kabhi pahlu mein uchhal paDta tha
ho mubarak ye kabhi munh se nikal paDta tha

hote raushan hain charagh aaj jahan mein yaksan
gul hua aaj hi par ek charagh-e-taban

hai murad us se wo bhaarat ka charagh-e-raushan
nam hai jis ka dayanand jo tha faKHr-e-watan

jis dayanand ne bhaarat ki palaT di qismat
jis dayanand ne duniya ki badal di haalat

jis dayanand ne gulzar banae jangal
jis dayanand ne qaumon mein macha di halchal

aaj wo hind ka afsos dulara na raha
gham-nasibon ke liye koi sahaara na raha

yaad hai us ki zamane mein har ek su jari
us ki furqat ki lagi tegh jigar par kari

dil ye kahta hai ki is waqt zabanen kholen
aao mil mil ke dayanand ki hum jai bolen