dar-o-diwar par chhai hai udasi gham ki
mahw-e-hairat hai KHushi dida-e-hairan ki tarah
koi jhonka koi aahaT koi aawaz nahin
raat viran hai kisi shahr-e-KHamoshan ki tarah
din Dhale dekh liya tha koi uDta baadal
kunmunati hai faza mausam-e-baran ki tarah
dur pardes ki rahon mein bhaTakte rahi
dil mein phir yaad teri aai hai mehman ki tarah
wo sar-e-sham dar-o-baam pe jalte dipak
kya meri tarah tujhe yaad nahin aate hain
raushni mein wo nahae hue ujle manzar
kya nigahon mein teri aaj bhi lahraate hain
kya wo bite hue pur-nur chahakte lamhe
aaj bhi dil mein tere git koi gate hain
kya tere KHwab gham-e-haal ke virane mein
ab bhi mazi ka fasana koi dohraate hain
wo ujale jo teri tarah mujhe bhul gae
dur se ab meri fariyaad nahin sun sakte
dil ke taron ko bahut jama kiya hai main ne
wo magar naghma-e-ehsas nahin ban sakte
meri aawaz ko jazbaat ki diwar ke par
sun to sakte hain magar sar ko nahin dhun sakte
main jo roun bhi to ye waqt ke andhe sathi
kisi bikhre hue moti ko nahin chun sakte
dip-mala ki ye bechain bilakti hui raat
us ke daman mein mere ashk-e-rawan palte hain
ham-safar koi nahin hai meri tanhai ka
chand sae hain jo hamrah mere chalte hain
DabDabai hui aankhon mein hai sawan ki jhaDi
aur dil mein mere yaadon ke shajar palte hain
dekh main ne bhi manai hai yahan diwali
meri palkon pe bhi ashkon ke diye julte hain
Nazm
Diwali
Qateel Shifai