na jaane kis ki ye Diary hai
na nam hai, na pata hai koi:
har ek karwaT main yaad karta hun tum ko lekin
ye karwaTen lete raat din yun masal rahe hain mere badan ko
tumhaari yaadon ke jism par nil paD gae hain
ek aur safhe pe yun likha hai:
kabhi kabhi raat ki siyahi,
kuchh aisi chehre pe jam si jati hai
lakh ragDun,
sahar ke pani se lakh dhoun
magar wo kalak nahin utarti
milogi jab tum pata chalega
main aur bhi kala ho gaya hun
ye hashiye mein likha hua hai:
main dhup mein jal ke itna kala nahin hua tha
ki jitna is raat main sulag ke siyah hua hun
mahin lafzon mein ek jagah yun likha hai is ne:
tumhen bhi to yaad hogi wo raat sardiyon ki
jab aundhi kashti ke niche hum ne
badan ke chulhe jala ke tape the, din kiya tha
ye pattharon ka bichhauna hargiz na saKHt lagta jo tum bhi hotin
tumhein bichhata bhi oDhta bhi
ek aur safhe pe phir usi raat ka bayan hai:
tum ek takiye mein gile baalon ki bhar ke KHushbu,
jo aaj bhejo
to nind aa jae, so hi jaun
kuchh aisa lagta hai jis ne bhi Diary likhi hai
wo shahr aaya hai ganw mein chhoD kar kisi ko
talash mein kaam hi ke shayad:
main shahr ki is machine mein fiT hun jaise Dhibri,
zaruri hai ye zara sa purza
aham bhi hai kyun ki roz ke roz tel de kar
ise zara aur kas ke jata hai chief mera
wo roz kasta hai,
roz ek pech aur chaDhta hai jab nason par,
to ji mein aata hai zahr kha lun
ya bhag jaun
kuchh ukhDe ukhDe, kaTe hue se ajib jumle,
kahani wo jis mein ek shahzadi chaT leti hai
apni angushtari ka hira,
wo tum ne puri nahin sunai
kaDon mein sona nahin hai,
un par sunahri pani chaDha hua hai
ek aur zewar ka zikr bhi hai:
wo nak ki nath na bechna tum
wo jhuTa moti hai, tum se sachcha kaha tha main ne,
sunar ke pas ja ke sharmindagi si hogi
ye waqt ka than khulta rahta hai pal ba pal,
aur log poshaken kaT kar,
apne apne andaz se pahante hain waqt lekin
jo main ne kaTi thi than se ek qamiz
wo tang ho rahi hai!
kabhi kabhi is pighalte lohe ki garm bhaTTi mein kaam karte,
ThiThurne lagta hai ye badan jaise saKHt sardi mein bhun raha ho,
buKHar rahta hai kuchh dinon se
magar ye satren baDi ajab hain
kahin tawazun bigaD gaya hai
ya koi siwan udhaD gai hai:
farar hun main kai dinon se
jo ghup-andhere ki tir jaisi surang ek kan se
shurua ho ke dusre kan tak gai hai,
main us nali mein chhupa hua hun,
tum aa ke tinke se mujh ko bahar nikal lena
koi nahin aaega ye kiDe nikalne ab
ki un ko to shahr mein dhuan de ke mara jata hai naliyon mein
Nazm
Diary
Gulzar