pichhli kitni raaton se main KHwab yahi ek dekh raha hun
hath ye mere hath nahin hain panw ye mere panw nahin hain
in ke sahaare main chalta hun
saDkon par aawargi kar ke
jhuTi sachchi baaten aKHbaron mein likh kar
raat gae jab ghar aata hun
kanch ki aankhen
patthar ke danton ka chauka
bandar ka dil
uzw-e-tanasul lekin apna
apne aaza ek ek kar ke deep-freeze mein rakh deta hun
biwi ki god mein chhup kar so jata hun

Nazm
Deep-freeze
Sulaiman Areeb