main jine ki tamanna le ke uThti hun
magar jab din guzarta hai
sunahri dhup ki kirnen kisi dariya kinare par utarti sham ke bikhre hue chamkile baalon se lipaT kar sone lagti hain
hawa bezar ho kar phir thake panchhi ki banhon mein simaT kar baiTh jati hai
zamin ka shor bhi tab rafta rafta mand paDta hai
falak ke aaKHiri kone pe jis dam kuchh syahi jhilmilati hai
sitare surmai se aasmanon ki bichhi chadar pe aise baiTh jate hain
ki jaise Dubte suraj ki mayyat par sipare paDhne aae hon
tabhi ehsas hota hai ki goya zindagi bas ek din ki thi
Nazm
Decline
Seema Ghazal