subah subah ek KHwab ki dastak par darwaza khula' dekha
sarhad ke us par se kuchh mehman aae hain
aankhon se manus the sare
chehre sare sune sunae
panw dhue, hath dhulae
aangan mein aasan lagwae
aur tannur pe makki ke kuchh moTe moTe roT pakae
poTli mein mehman mere
pichhle salon ki faslon ka guD lae the
aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha
hath laga kar dekha to tannur abhi tak bujha nahin tha
aur honTon par miThe guD ka zaiqa ab tak chipak raha tha
KHwab tha shayad!
KHwab hi hoga!!
sarhad par kal raat, suna hai chali, thi goli
sarhad par kal raat, suna hai
kuchh KHwabon ka KHun hua tha,
Nazm
Dastak
Gulzar