dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
raat ka hath laga aur hawa TuT gai
suraji aag mein jhulsa gaya saya saya
ruh ki aankh khuli chand shikasta paya
nile aakash ke nezon pe siyahi chamki
waqt ke jism mein lamhon ki kamanen TuTin
panw mein phans chubhi aankh mein rasta nikla
dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
Nazm
Dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
Adil Mansuri