dard ka nam pata mat puchho
dard ek KHema-e-aflak
is iqlim pe hai saya kunan
tum ise qutub shumali kah lo
tum jidhar aankh uTha kar dekho
barf hi barf hai
aur raat hi raat
hum wo maujud ki jin mein shayad
zindagi banne ke aasar abhi baqi the
hashraat aise ki jin ko shayad
raushni aur hararat ki zarurat thi abhi
is andhere mein kaho barf pe rengen kaise
koi batlao ki is raat ke aazar se niklen kaise
raat aisi ki jo Dhalti hi nahin
barf aisi ki pighalti hi nahin
Nazm
Dard ka nam pata mat puchho
Mushaf Iqbal Tausifi