ghar mein kuchh bhi nahin tarik si KHushbu ke siwa
kuchh chamakta nahin ab KHauf ke jugnu ke siwa
dam-e-kohsar mein DhunDa to na nikla kuchh bhi
barf par chhiDki hui KHun ki KHushbu ke siwa
us ka chhupna tha ki aankhon mein meri kuchh na raha
surmai sabz munawwar ram-e-ahu ke siwa

Nazm
Dar-e-pa-e-ajal
Shamsur Rahman Faruqi