bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
chaman ki god mein aa kar sama bhi ja salma
kali kali mein bahaaren basa bhi ja salma
mujhe junun ka sabaq phir paDha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
milenge hashr mein mat kah ye bar bar mujhe
ho kaise hashr ke wade ye e'tibar mujhe
KHuda ke dil pe nahin koi iKHtiyar mujhe
KHuda ko man yahin hashr uTha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
nashat-e-umr ko ummid par nisar na kar
visal-e-subh-e-qayamat ka intizar na kar
riyaz-e-KHuld ki baaton ka e'tibar na kar
fareb-e-wada-e-farda miTa bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
kise KHabar hai qayamat mein hum milen na milen
faza-e-rauz-e-jannat mein hum milen na milen
kashakash-e-abadiyyat mein hum milen na milen
kashakash-e-abadiyyat bhula bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
ganwa na sog mein apne shabab ki raaten
nazar na aaengi phir mahtab ki raaten
ye nikhaton ka hujum aur ye KHwab ki raaten
faza mein KHwab hasin ban ke chha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
KHabar le jald ki umr-e-aziz fani hai
sara-e-dahr ki har chiz aani jaani hai
ba-rang-e-abr-e-rawan fasl-e-naujawani hai
chhalakne wala hai saghar pila bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
kise KHabar ye ghaTaen rahen rahen na rahen
ye nikhaten ye hawaen rahen rahen na rahen
ye mastiyan ye fazaen rahen rahen na rahen
sharab-e-wasl ka saghar pila bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
sabaat-e-ahd zamane mein kis ne paya hai
zamana rang badalne ko rang laya hai
bahaar-e-umr-e-rawan baadalon ka saya hai
bahaar-e-umr ki KHushiyan mana bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
tere KHayal ko dil mein basae baiThe hain
KHudai ho ki KHuda ho bhulae baiThe hain
surur-e-ahd-e-jawani luTae baiThe hain
tu aa ke qadr-e-jawani sikha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
ye fasl aur ye bahaaren nazar na aaengi phir
ye baadalon ki qataren nazar na aaengi phir
ye halki halki phuwaren nazar na aaengi phir
sharab-e-aish-o-musarrat lunDha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
bata tu kya ye nazare ujaD na jaenge
ye naddiyan ye kinare ujaD na jaenge
ye chand aur ye sitare ujaD na jaenge
sitara-war shuaen luTa bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
ghamon pe ki hain fida shadmaniyan hum ne
KHuda ke nam pe taj din jawaniyan hum ne
guzar din hain yunhi zindaganiyan hum ne
dam-e-aKHir to gham se chhuDa bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
fana-nasib hain ye sabza-zar ke manzar
ye kohsar-o-lab-e-juebar ke manzar
nazar na aaenge phir ye bahaar ke manzar
abhi saman hai bahaaren dikha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
KHabar le jald ki bahki hui bahaar hai aaj
nashat-e-KHuld se mamur sabza-zar hai aaj
ajal pe bhi meri hasti ko iKHtiyar hai aaj
ghurur-e-ishq ki himmat baDha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
tu hukm de to sitaron ko chhin laun main
falak se us ke nazaron ko chhin laun main
iram ki mast bahaaron ko chhin laun main
KHudai ko ye tamasha dikha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
tu samne ho to kaun-o-makan ko gum kar dun
KHam-e-tarab mein KHam-e-asman ko gum kar dun
dui ho fard to donon jahan ko gum kar dun
ba-rang-e-ruh badan mein sama bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
Nazm
Dawat
Akhtar Shirani