roz baDhta hun jahan se aage
phir wahin lauT ke aa jata hun
bar-ha toD chuka hun jin ko
unhin diwaron se Takraata hun
roz baste hain kai shahr nae
roz dharti mein sama jate hain
zalzalon mein thi zara si garmi
wo bhi ab roz hi aa jate hain
jism se ruh talak ret hi ret
na kahin dhup na saya na sarab
kitne arman hain kis sahra mein
kaun rakhta hai mazaron ka hisab
nabz bujhti bhi bhaDakti bhi hai
dil ka mamul hai ghabrana bhi
raat andhere ne andhere se kaha
ek aadat hai jiye jaana bhi
qaus ek rang ki hoti hai tulu
ek hi chaal bhi paimane ki
goshe goshe mein khaDi hai masjid
shakl kya ho gai mai-KHane ki
koi kahta tha samundar hun main
aur meri jeb mein qatra bhi nahin
KHairiyat apni likha karta hun
ab to taqdir mein KHatra bhi nahin
apne hathon ko paDha karta hun
kabhi quran kabhi gita ki tarah
chand rekhaon mein simaon mein
zindagi qaid hai sita ki tarah
ram kab lauTenge malum nahin
kash rawan hi koi aa jata
Nazm
Daera
Kaifi Azmi