KHala ki mushkilat apni jagah qaem thin aur duniya
ujaDti bharbhari banjar zaminon ki nishani thi
sitare surKH the aur chand suraj par andheron ka basera tha
daraKHton par parindon ki jagah viraniyon ke ghonsle hote
zamin ki kokh mein bas thur tha aur KHar ugte the
hawa ko sans lene mein bahut dushwariyan hotin
to phir us nur wale ne koi lauh-e-anara bhej di shayad
andhere raushni pe kis tarah iman le aae
balaen kis tarah pariyon ki surat mein chali aain
ye kis naural suwaiba ki KHuda taKHliq kar baiTha
ye narmi dilbari sharm-o-haya taKHliq kar baiTha
wo naural wo suwaiba jis ki KHatir aasman se rang utre the
wo jis ke dam se duniya par nazakat ka wajud aaya
KHuda-e-KHalq ne naural se pahle hi hawas taKHliq kar di thi
nazakat tak hawas ki dastaras taKHliq kar di thi
hazaron sal guzre hain magar fitrat nahin badli
nigahen ab bhi bhuki hain ki jaise kha hi jaengi
hawas-zadon ne kaise nur se munh par mali kalak
har ek rishta zarurat ke mutabiq kis liye badla
hawas-zadon badan-KHoro zara si sharm farmao
wo naural wo suwaiba raushni ka istiara thi
kabhi hawwa kabhi mariyam kabhi lauhe-anara thi
wo aurat thi
Nazm
Wo aurat thi
Waqar Khan