اردو हिंदी
Cigarette aur pan ka mukalima | Shaahi Shayari
cigarette aur pan ka mukalima

Nazm

Cigarette aur pan ka mukalima

Syed Mohammad Jafri

;

cigarette ne ye ek pan ke biDe se kaha
tu hamesha se pari-ruon ke jhurmuT mein raha

kaun si aisi hain KHidmat teri besh-baha
KHun-baha kyun lab-o-dandan-e-hasinan se liya

tujh mein kya lal lage hain ki tu itraata hai
be-hijabana har ek bazm mein aa jata hai

cigarette se jo sune pan ne ye talKH suKHan
bola KHamosh ki achchha nahin hasid ka chalan

jalte rahne se dhuan ban ke miTa tera badan
tu laga munh ko to ghaeb hui KHushbu-e-dahan

kaghzi pairahan aur us pe tu fariyaadi hai
KHud-ba-KHud ghussa mein jal jaane ka tu aadi hai

is pe cigarette ne kaha pan se ye kya hai sitam
chhanw mein palta hai aur tu hai baDa sabz qadam

katthe, chune pe, Dali par tera qaem hai bharam
tujh pe chandi ke waraq lipTen to kya hai tujhe gham

KHas-danon ke muhafon mein safar karta hai
raat din mah-jabinon mein basar karta hai

pan bola ki jalata hai tu kyun qalb-o-jigar
eshiyai main hun, maghrib ka hai tu saudagar

kash tu apne gareban mein munh Dale agar
tu wo be-bas hai ki machis ka jo ho dast-e-nigar

aag barsane mein sari teri ranai hai
aur ye chingari bhi bahar se kahin pai hai

bola cigarette ki bashar shikwa-kunan hain tere
dar-o-diwar pe paikon ke nishan hain tere

jo lipstick mein hain wo jalwe kahan hain tere
KHud to halka hai pa nuqsan giran hain tere

na ghiza mein na dawa mein hai to phir kaun hai tu
tu halaku hai ki taimur ki firaun hai tu

pan kahne laga cigarette se ki iblis-e-lain
teri tambaku se jati hai badan mein nicotine

tujh se paida hue amraaz nihayat sangin
be-tamiz itna ki mahfil mein jalae qalin

rakh se teri bhari dekhte hain ashtray
koi girne ko to gir jae par itna na gire

jal ke KHud sab ko jila dena tera pesha hai
chhup ke baiThi hai ajal jis mein tu wo besha hai

jaan le apne hi aashiq ki jo wo tesha hai
tere pine se to sartan ka andesha hai

jo tujhe munh se lagaenge lahu thukenge
aur bhi chizon ke kash lene se kab chukenge

sulh in donon ki aaKHir mein karai main ne
pan mein Dal ke tambaku bhi khai main ne

lab se cigarette ke jo chingari uDai main ne
sher aur fikr ki shama us se jalai main ne

pan se main ne kaha shan teri baala hai
tu hai nausha to ye cigarette tera shahbaala hai