mere KHwab zaKHmi hue
to duniya ke sare zabte jhuTe lage
main ne zindagi ke liye bhik mangi
magar aabaad lamhon ki puja ke liye
waqt kabhi mere liye na ruka
mujhe west-pan se apnaiyat mahsus hui
log kaghazon se bane khilaune the
jinhen hamesha KHilaf-e-marzi nachna paDa
bhige sahilon ki hawa mein KHun hi KHun tha
jhilon ke aabaad kinare mujhe banjar kar gae
pani par tairta manzar daghabaz nikla
main muKHalif samt bahti kashtiyon mein
ba-yak-waqt sawar ho gaya
baadal baras gae
to aasman par dhuan rah gaya
main ne KHud ko dhuwen mein uDaya
aur masrufiyat se sauda kar liya
Nazm
Chor darwaza khula rahta hai
Zahid Imroz