kaTh ke bail mard, shishe ki
putliyan aurten, pasine ki
bundiyan, gul mahak shamim-e-badan
chaak-e-dil zaKHm-e-jeb-o-pairahan
car, lari, kiwaD aankhen, fan,
lal-o-almas aahan-o-faulad
qahqahe, chahchahe, fughan, fariyaad
soi, hathi, anath, bachche, dil
tishnagi, talKHiyan, tajalli, did
kaun si aas, kaun si ummid
kaun si jins chahiye tujh ko
har zarurat ka mal hazir hai
mal ye sab kahan se aata hai
bechta kaun, kaun lata hai
kis se kis ne ise KHarida hai
kitne damon ye uThta jata hai
bambai ki ariz saDkon par
jab koi taza jins duniya ki
koi nikhra hasin-ruKH, main ne
koi lahki hui jabin dekhi
yahi dil mein KHayal aaya hai
tajarba-kar koi saudagar
koi dallal ya koi sariq
sar-e-bazar us ko laya hai
jaane kis roz bich Dalega
wo bhi aise ki us ke damon ka
dusre hath ko pata na chale
jaane kis roz kitne darwaze
chhu ke ye jins-e-be-baha aaKHir
kisi footpath ke kinare par
laT ki laT ban ke uTh jae
zindagi hai ki mal sariqe ka
chor-bazar hai ki duniya hai!
Nazm
Chor-bazar
Aziz Qaisi