ye jhuT hai
ki karachi mein
barish ke baad nikalne wali
ghas ki konplen
gahri sabz aur narm nahin hotin
ya ye ki daraKHt
baadalon ki madad ke baghair
saya faraham nahin karte
ye bhi jhuT hai
ki yahan KHargoshon ki aankhen
andhere mein nahin chamaktin
aur gilahriyan
baadam aur aaKHroT ke chhilkon se
nahin khultin
ya ye ki hatheli par rakhne se
bair-bahuTiyan zard paD jati hain
sanp apne hisse ka dudh
kaghzi azdahon ke liye chhoD jate hain
hamare alawa
karachi mein chiDiyan bhi rahti hain
jo goliyon ki aawaz aur dhamakon ke bawajud
daraKHton par se uDti hain diwaron par baiThti hain
kahin na kahin jama ho kar
bila-nagha duaen mangti hain
ya hamari taraf raat bhar
apne apne Thikane mein chhupi rahti hain
aur subh hone tak
bahar nahin nikaltin
Nazm
ChiDiyan
Zeeshan Sahil