kaun hai wo
kuchh nahin jaante
dekh sakte nahin
duniya ki diwaron mein
chune hue patthar
kaun mere KHwabon mein
aasmanon se utarta hai
jadu-zada logon ko
diwaron se nikal kar
zinda dilon ki bastiyan aabaad karna chahta hai
magar ye log kaise hain
ba-zid hain
dilon tak jate raste band rakhne par
aankhon zabanon aur dimaghon ko
diwaron mein qaid rakhne par musir hain
mein hairan hun
ki diwaren bhi chalti hain
kuchalti jati hain
raunat se
sabhi masum jazbon ko
kitabon se umaDti raushni ko
dilon mein nafraten bhar kar
uTha kar sar ye chalte hain
raunat se
saja kar apne mathe par
nishan sajdon ke
sab se faKHriya kahte hain
hum hi muttaqi hain aur zahid hain
magar un ki qanaat girya-zari zohd-o-taqwa
dikhawa hai banawaT aur sajawaT hai
ye jis ke nam par dhoke banTte phirte hain
masjidon aur bazaron mein
use sajdon se kya matlab
use to dil basane hain
aur is jadu-zada basti ko jannat mein badalna hai
Nazm
Chalti phirti diwaren
Maimoona Abbas Khan